Dreams..!!

“Dreams are like stars...you may never touch them, but if you follow them they will lead you to your destiny.”

Dare To Dream..!!

If you can dream it, you can make it.


Don’t be afraid of the space between your dreams and reality.

So, to accomplish great things,
we must not only act, but also dream; not only plan, but also believe.
No harm in dreaming, dreams are as good as an indicator; they evaluate a person.
 
So, many of us dream of being a singer, a doctor, a choreographer and so on.
While some of us accomplish our dreams and some of us don’t. Some are smug about the way things are and just content with life.
 
Then there are those who wriggle out of extra work, do nothing and get to the forefront in life and you think they are born with a silver spoon in their mouth.
 
Some trample all over you to get where they want to be. Some people just build castles in the air and wait for things to happen. 
Some are impudent, willing to take risks whereas some are too scared stiff and do not want to relinquish what they have.
 
Some have a clear mind about what they want and some are muddleheaded and befuddled.
Some think God is inequitable to them and feel resentful but do nothing about it.
 
Some are puissant and have a lot of clout. It’s all about the right kind of approach to any speculation.
 
Stop kvetching. Life is not a bed of roses. You might face impediments on your path to success, but don’t lose hope. 

Your life is in your hands. You either make it or break it. Always remember, if you are determined to get to the top you will be successful. Don’t allow anyone or anything to make you waver in your faith. 

If you dare to dream, it will come true.

Ek Din Kuch Bankar Dikhana Hai..!!


Ek Khwab hai seene mein, aakhno mein hai armaan bhare..
Saase thami nahi hai, nigaho mein hai aas bhare..
Bulandio pe har hosla, aur zubaan par bas ek hi kaam,
Sabkuch paana hai, KUCH BANKAR DIKHANA HAI..!!

Dekh ker unlogo ko jinhone chuha hai asman,
dil mein jagti hai tammanae kai..
Sabkuch Paana hai, kuch bankar dikhana hai..

Jiske awaaz se hi mugdmoh hai saara jahaan,
Us lambu se uncha uth kar dikhana hai..

Khel ke bahgwan ka pad pa chuka ho jo, 
Us pad ka ster bada kar dikhana hai..

Apne sapno se karli jisne duniya muthhi mein, 
Us sapne ko ji kar dikhana hai..

Mita kar rang roop ka bhed, 
bana jo sabse takatwar insaan..
Us kamyaabi ke lakshay ko haasil kar ke dikhana hai..

Duniya ko nachaya jisne, 
apni maut se hilaya jisne,.
Us funkaar se zyaada duniya ko hila kar dikhana hai..

Chalte hai jis taare se hum saare, 
Us suraj se zyaada chamak kar dikhana hai..

Rukunga Nahi, Jhukunga Nahim Thakunga Nahi, Ye wada hai sabse..
Marne ke baad kisne kya dekha hai? Ye sab Jeete Ji kar ke dikhana hai..

Ek Din Kuch Bankar Dikhana Hai..!!

Mann Hi to Hai.. Isko Kon Samjhae?


Mausam hai Barsaat ka, Hath mein hai chai..
Kya karu kya na karu, Kuch Samaj na Ae..

Uthai Kitaab to Dil Ne kaha Abhi ni..
Tabhi Dimaag bola abhi nahi To kabhi Nahi..

Channel bohot hai Tv par, par Dil behelta hi nai..
Mann bola tv nahi to kuch aur hi Sahi..

Khola akhbar to socha dekhun to duniya ka haal, 
Garib ho rhe the aur garib, Amiro se paas bad rha tha maal..
Angrezo ne Bharat ko thi Dhul chatai,
Bhagwan ka sath hote hue bhi, wo bhi na kuch kar pai..
Baba khel rahe the rajneeti ka khel, 
Aur rajnetae kar rhe the padosiyo se mel..

Chod kr akhbar Socha dekhu mausam ka nazara,
dikhe kuch log jo the barish mein besahara,
Gya usnke paas badane apna hath,
hue bohot kuch dekh kar kisi ajnabee ka saath..

Kamm bohot hai karne ko par Mann ko Kon Samjhae..
Yahi Sochte Sochte kuch bhi Ho na Paae..
Ye waqt hai bohot keemti, is kon rok pae..
Aaj nahi to kal Sahi, yahi Mann Kehta Jae..

Mann ne kaha kyun bhaga ja raha hai kaam ke peeche,
Baith araam se pankhe ke neeche, 
pee masti mein apni chai, 
kya karna soch ke jab kuch samaj na aae..

Mausam hai Barsaat ka, Hath mein hai chai..
Kya karu kya na karu, Kuch Samaj na Ae..

(Enjoying The Ennui)

Aaj Sirf Sapne Dekhu..



Ji chahata hai Aaj Sirf Sapne Dekhu..
Bina Pankh ke khud ko Udta dekhu..
gehre Saagar mein khud ko machliyo ke sand Tairta dekhu..
Ya phir Himalaya ke Shikhar par khud ko Khada Dekhu..

Dil ek Panchi hi to hai, Kyn na aaj Ise Azaad krke dekhu..
Bahane bohot hai duniya mein Nakamyabi ke,
Kyun na aaj Sachai Ka samna Karke dekhu..?

Paane ki chah aur Hasil karne ki tamanna hai dil mein..
Kyun na Aaj Manzil ki taraf Kadam Bada kar dekhu..?

Chahane wale hai mujhe bohot is matlabi Duniya mein jo chidakte hai mjpe jaan..
Kyun Na Aaj Unke liye bhi Kuch Karke Dekhu...?

Na ho Pane Ki Khushi Aur Na ho Khone Ka Gham..
Kyun Na Aaj Us Jahan Ka manzar apna kar dekhu..?

Sapno se Bhari Is Duniya mein Sapne Sapne Hi na Reh Jae..
Kyun Na Aaj Sapno Ko Haqiqat Banta Dekhu..?

Ji chahata hai Aaj Sirf Sapne Dekhu..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...