Mausam hai Barsaat ka, Hath mein hai chai..Kya karu kya na karu, Kuch Samaj na Ae..
Uthai Kitaab to Dil Ne kaha Abhi ni..
Tabhi Dimaag bola abhi nahi To kabhi Nahi..
Channel bohot hai Tv par, par Dil behelta hi nai..
Mann bola tv nahi to kuch aur hi Sahi..
Khola akhbar to socha dekhun to duniya ka haal,
Garib ho rhe the aur garib, Amiro se paas bad rha tha maal..
Angrezo ne Bharat ko thi Dhul chatai,
Bhagwan ka sath hote hue bhi, wo bhi na kuch kar pai..
Baba khel rahe the rajneeti ka khel,
Aur rajnetae kar rhe the padosiyo se mel..
Chod kr akhbar Socha dekhu mausam ka nazara,
dikhe kuch log jo the barish mein besahara,
Gya usnke paas badane apna hath,
hue bohot kuch dekh kar kisi ajnabee ka saath..
Kamm bohot hai karne ko par Mann ko Kon Samjhae..
Yahi Sochte Sochte kuch bhi Ho na Paae..
Ye waqt hai bohot keemti, is kon rok pae..
Aaj nahi to kal Sahi, yahi Mann Kehta Jae..
Mann ne kaha kyun bhaga ja raha hai kaam ke peeche,
Baith araam se pankhe ke neeche,
pee masti mein apni chai,
kya karna soch ke jab kuch samaj na aae..
Mausam hai Barsaat ka, Hath mein hai chai..
Kya karu kya na karu, Kuch Samaj na Ae..
(Enjoying The Ennui)
No comments:
Post a Comment